Sabak

Bubbles Kandhari-Sabak

Sabak by Bubbles Kandhari

Khuda ne jub yeh shareer banaya

Hur ang mei uske ek sabak chhipaya.

Sur main soch tum achi rakho

Dimag ko apna thunda rakho

Gusse pur tum kabu rakho

Phir duniya muthi main rakho.

Mustak main hai jo aankh teesri

Khuda ki usi se hai dor bandhi

Nainon se bandon mein khuda dekho

Aansoou se unke gum ko dho dow.

Do kanon ke beech ek naak phussa hai

Kehte hain usper gussa rakha hai

Kaan achha sunne ki kuwat rakhte hain

Naak achhi khushboo jaan lete hain.

Zuban se mithi boli bolen

Hothon se muskaan phailayein

Dil dhadkta hai seene main jub tak

Mohabbat ka ehsas ho tub tak.

Kandhe pur ho dukhion ka bojh

Madad karein kaise bus yeh ho apni soch

Kamur lachakti hai tow duniya mein masti hai

Yeh jub toot jati hai toh ikk hook si uth jati hai.

Do haath bane hain dua mein uthane ke liye

Bebus aur lacharon ke sahare ke liye

Pet mein jub bhookh ki aag lagi ho

Us aag ki taseer ko samjho

Kisi gareeb ki bhookh ko mita do

Usey lazeez bhojan khila do.

Reerh ki haddi kehti hai hamesha sidhe chalo

Ultey sidhe raston pur tum kahin na bhatko

Tango se chalna hai tumhe, pairon ne vazan lena

Un pur chal kur tum bhi apni duniya ko savarna

Insanon ki basti mein ja kur, bus pyaar hi phailana hai

Tumhe door bahut jana hai, Tumhe door bahut jana hai.

Previous
Previous

Pattiyaan

Next
Next

Soorte-Haal