Pattiyaan

Bubbles Kandhari-Pattiyaan

Pattiyaan by Bubbles Kandhari

Ped ke shakhon pe

Jab lehrati hain pattiyaan

Musafir ko thandi chaav

Deti hain pattiyaan.

Thakke haaron ki raahat ka sila

Banti hai pattiyaan

Khuda ki nehmat ka

Ek hissa hain pattiyaan.

Patjhad aane par jab

Gir jaati hai pattiyaan

Tab sabke kadmon tale

Raundi jaati hai pattiyaan.

Pattiyaan ‘gar bol paati to kehti

“Meri chaav tale baithne waalon

Tum aaj mujhi ko kuchal de rahe ho bereham

Taras na aaya meri bebasi pe?

Kyon ehteram se uthakar na rakh diya kahin pe”?

Duniya ka bhi yahi hai dastoor

Chadhte sooraj ko salaam hai jaroor

Dhalti umra ka koi lehaj nahin

Kuch apnon ka bhi dhyaan nahin

Waqt unpar bhi kabhi aayega

Iska bhi ehsaas nahin.

Paiso ki bas daud lagi hai

Pyaar ka koi mol nahi hai

Kalyug ke is daur ka hai yeh kasoor

Jo apnon ko rakhen apnon se door

Duniya mein keher barsaaye

Kahin bhukamp to kahin bimari laaye.

Ae Maalik tu karde kuch hum pe karam

Mitaa tu iss duniya se maaya ka yeh bharram

Previous
Previous

Dil Se

Next
Next

Sabak