Soorte-Haal

Bubbles Kandhari-Soorte-Haal

Soorte-Haal by Bubbles Kandhari

Jism mein ajeeb se jhanjhanahat hain

Par chehre pe naya noor hain

Haath kapkapate hain

Honth tharrate hain

Aansuon ka sailab hain

Dil milne ko betaab hain

Is khayaal se jab yeh haal hain

To milan mein kya hoga.

Aajayen jab woh samne

Lelen apne aagosh mein

Sochti hoon kabhi mein

Woh manzar kaisa hoga

Ajeeb hoti hain yeh dasha

Na kehte na sun paate hain

Kaisa hai yeh khoobsurat ehsaas

Bas mehsoos hi kar paate hain.

Khuda mujhe itni toufeek dede

Ki teri hi jhalak har kisi mein paoon

Jis taraf mein nazar uthaoon

Bas tujhe he dekh paoon

Ya phir milan ke khayal mein

Yuhin tadapti jaoon ----??

Previous
Previous

Sabak

Next
Next

Tuhi Tuhi