Panchhi
Aaj main baithi chhat pe apne
Panchhiyon ka yun chehekna sunte.
Choon choon karte jaa rahi unki toli
Kitni mithi thi unki boli.
Alfaz hona zaroori toh nahin
Manmohit hai unki madhur mausiki.
Udaan bharte khule aasman mein
Pankh phailaye aazad jahan mein.
Samay sandhya ka suraj apni dhalaan pe
Panchhi udh rahe hain, per ek hi katar mein.
Bharosa hai unhein apne quayud per
Quayud ko yakeen hai kaynaat per.
Poochha apne aap se jhank ke ander
Kya tujhe bharosa hai oos Khalik per?
Nazren jhuk gayin, sharmindgi ka ehsaas hua
In parindon se kyon leh paaye, hum yeh seekh na.
Aai insaan tujhe kya hua hai, duniya ke toofan mein
Kyon bikhre hue ho tum, yun is haal mein
Kyon na chhod ke bhed bhao apne
Pyaar ki mithi boli bolen.
Mil baith ke hum ek qatar mein
Is aalam ko gulistan banayen.