Gulmarg Ek Jannat
Arsh se abshaar jo zameen pur pade
Hazaron gul yahan khushi sé khilné lage
Sheen sé lipté hué badlon mein chippé hué
Affarwat pahad hain yeh - shaan sé pehré diyé.
Cheed, Deodar, Tarkanna – Guftgoo karain iss mali se
Ober aate rood barsaate
Apni magan main jhoomte rehte.
Taazi hawa ke jhonke mano
Rabab aur saran bajate
Haryali hi haryali har taraf
Aankhon ko thundak pahuchayé.
Azaad parinde khulé asmaan mein
Apni udaan bhurté jayein
Zameen ki taseer bhi yoon ki
Ghod-bakri bhi tandroosti payen.
Aaisa manzar aisa manzar
Maula ke kareeb layé hur pul
Khuda ki banayi jannat hai yeh
Iss per na tum khoon baha‘o’.
Sirf mohabbat aur beinteha pyaar bursa‘o’
Is sheher mein phir se khushhali le aa‘o’
Yeh gulon ka marg hai, iss pur gul hi gul khilao
Isse phir se ek bar Gulmarg hi bana‘o’.