Paigam

Paigam - by Bubbles Kandhari

Ek panchhi mere dur pe hur roz hai aata

Jaane kyon mujhe hai taakta rehta

Kya yeh mujhse kuch kehna chahta

Ya kisi ka koi paigam hai laata.

Kyon, mai bhi uska intezaar hoon karti

Na jaane kiski hai rooh usme basti

Kuch pul door se usse neharoon

Hood hood kurke pyaar se pukaroon.

Kya woh hai bilkul besahara

Ya pooch raha hai haal hamara

Lagta hai mujhe woh jaana-pehchana

Kuch apna sa, nahi begana.

Kyon hur roz mere woh saamne aata

Dekh mujhe luge woh muskurata

Kyon woh kisi apne ki yaad hai dilata

Suna buzurgon se maine, Roohon ka paigam hai laata.

Previous
Previous

Bairaag

Next
Next

Dost