Bairaag
Baadalon mein chhip kar, yun dekha kare hai tu
Tu bhi na is tadap ko samajh sake hai k yon?
Dheemee see raftaar se yun chal raha hai tu
Kab tak mera paigaam pahuncha sakega tu?
Kehna ki milan ki is aas mein tamaam zindagi bita di
Kuch khabar hi nahin is pyaar ne kya-kya sada di.
Yun hi - ghoom rahi hoon main akele - baawree
Dil mein ik dard chhipae - aankhon mein udaasee.
Kabhi sajtee bhi hoon sanvartee bhi hoon
Phir dekhti hoon darpan.
Kaash aajaaye wo ab saamne
To kar doon main sab kuchh arpan.
Aankhon mein asha ki jyot hai
Seene mein meethee si chubhan.
Milan ka yeh kaisa hain junoon
Ki chhaaye hain wo tann mann.
Bula le vo mujhe apni raahon mein
Ki sama jaoon mein unke aagosh mein.
Aur khaak ka yeh putla mil jaaye ab khaak mein
Yeh judaee ke aansoon hai aansoo bairaag ke.
Mere maalik mujhe kab tu le apni panaah mein
Bas yahi hai tamanna aur yahi aarzoo.
Kab hoon unse mukhaatib kab hoon roobaroo
Baadalon mein chhip kar yun muskura raha hain tu.
Chaand tu bhi na is tadap ko samajh sake hai k yon?