Mere Humsafar
Ab tum ho gaye 60 saal ke
Main 55 ke upar ki
Phir bhi preet nibhaayenge hum
Yunhi apne bachpan ki.
Bachpan beeta-jawani ko taapa
Ban gaye phir hum mummy-papa
Diye tumne mujhe do anmol ratan
Mehekne laga mera ghar aangan.
Waqt beeta phir aaee betiyaan
Ghar mein dugnee ho gayi khushiyaan
Phir aaye do pyaare pote
Jin ki kilkaariyon se hum khush hote
Inke khel khel mein roz
Hum phir bachpan rahe hai khoj.
Rubb se yahi dua humari
Yunhi phaltee rahe khushiyon ki kyaaree
Zindagi tumhari har gum se door ho
Khushalee aur pyaar se bharpur ho.
Phool sa komal hriday tumhara
Masoomiyat ismen bastee hai
Shant svabhaav ke maalik ho tum
Prem tumharee shakti hai.
Kaum mein ooncha rutba tumhara
Ghar ki shaan aur maan hai tum se
Maalik ki ho meher sada tum pur
Yunhi hanste raho tum hamesha
Mere Hamsafar.