Mann Jeete Jag Jeet
Mann tu kahan kahan ud jaata hain
Kitni daud lagata hain
Kyun nahi bas mein aata hain?
Tu itna chanchal, par bhi sundar
Rehta hai tu mere hi andar
Phir bhi kyun na pukkad mein aata
Kyun tu mujhe sada satata?
Tujhe paana jeevan ka lakshya bana hain
Itna kathin raasta ye chuna hain
Haroongi nahi is koshish mein
Kar loongi tumhe apne bas mein.
Simran aur dhyan karoongi
Yog aur pranayam karoongi
Lag jayegi jab tumhe mujhse preet
Tum aur hum na honge vipreet
Ban jaoge tum mere meet.
Phir duniya lenge milkar jeet
Kyunki “Mann Jeete Jag Jeet”.