Maa-Baap
Maa-Baap hamare chaand-sooraj-sitaare sabhi
Unke pyaar aur saahas se bani shakseeyat apni.
Maa ki thandi chaav
Garam hawayein yahan aa sakti nahi
Godh mein unki sar rakhkar
Bhula de gam aur fikar sabhi
Apne aanchal mein chipale jab bhi hame
Yun lage ki poori jannat simti ho isme.
Baap ka josh aur saahas
Baap ki mehnat aur himmat
Inka bhi koi mol nahi
Inse prerna lekar sawaare zindagi apni.
Chuka sakte nahi maa-baap ka hum ehsaan kabhi
Is pyaar ke ehsaas ko na samjhe farz hi sabhi.
Maange se bhi na milte
Bin maa-baap ke pehchaan kabhi
Jo sar jhuk jaaye inke charno mein
Unki aasees se badhkar koi inaam nahi.
Maa-Baap naam hain kitne muktasir
Duaein utni hi tawil unki
Bacchon pe koi aanch na aaye
Yahi hamesha prarthana jinki.
Lag jaaye Maa-Baap ke seene se
Isse badi koi saugaat nahi
Budhe ho jaaye jab bune sahara hum
To banegi jag mein shaan tabhi.
Yeh to maante hai sabhi
Maa ki mamta ka koi mol nahi
Par Baap se badhkar de koi saahas
Aisa bhi ho sakta nahi.
Sab rishton se upar hai yeh rishta
Isse badhkar khuda bhi na de sake vardan koi.