Khuda Ki Nehmatein
Khuda Ki Nehmatein - by Bubbles Kandhari
Pathron aur cement ke gharon se niklow
Kuch khuli hawa mein saans to leh low
Chalo karein hum oos khuda ki ibadut
Banayi hai jisne yeh khoobsurat kaynat.
Badlon me chippi yeh barfili chotiyan
Guftgoo kurti hui aasman se pahadiyan
Hasta suraj haolé haolé apna bhi rang dikhlaye
Rimjhim rimjhim baarish ki boondein
Yoonhi mann ki pyaas bujhayein.
Panchi kuch shakhon pe baithe
Kuch lambi udaan bhur jaate
Vishal akaash ki khuli azaadi
Na seema na bandhan na samaaj ki ko pabundi.
Rang birunge phool rahon mein khil khilate hai
Beach pahadiyon se jhurne bhi behte jaate hai
Paas behti nirmal jheel nadi mein sama jaati hai
Aur paani-ek jeevan daan humein de jaati hai.
Doobte suraj ki kirnon ka alag hai nazara
Inke rangon mein ranga lage arsh behud pyaara
Dhul gayi shyam – chaand nikal aaya
Apni chaandni bikhra ke who khud bhi muskuraya.
Barfili chotiyan yoon lagen ab
Heere-moti jaden ho khoob in pur
Kadmon pe inke hariyali hai bhurpoor zameen pur
Thunduk aur khoobsurati ka mel hai yahan pur.
In nazaron ke beech bhi kabhi aao
Khuda ki in nehmaton ko ji bhur ke saraho
Jahan aankhon ki thunduk aur rooh ka sukoon paao
Kuch pul baithkur inme kho jao.
Duniya se purre aur khuda ke kareeb ho jaao
Pathron aur cement ke gharon se niklo
Kuch khuli hawa mein saans to le low.