Ek Nazaria

Ek Nazaria - by Bubbles Kandhari

Kyon na is subah ko kisi ki khushiyon mein badal dein

Kisi mazloom ke aansuon ko hansi mein badal dein

Sahas aur sabur ka ehsaas dila ke

Umeed ki ik sunehri kiran mein badal dein.

Kya pata kal hum hon na hon

Apna kartavya nibhate aaj toh badul dein

Koi kab tak yaad rakhe kisi ko is jahan mein

Chalo is duniya ki kadvahat ko mithas mein badal dein.

Woh haar chadaate hai tasveer par apna farz samajh kar

Kyon na is nayi jheel ki soch ko hi badal dein

Khuda mujhe tu itni toufiq ada kar

Ki aakhri saans bhi meri kisi ke gum ko khushi mein badal de.

Previous
Previous

Na Jaane Kub Hum Bade Ho Jaate Hain

Next
Next

Khuda Ki Nehmatein