Na Jaane Kub Hum Bade Ho Jaate Hain
Na jaane kub hum bade ho jate hain
Kub din mahine saal guzar jaate hain
Dheere dheere apne bhi chod jaate hain
Na jaane kub hum bade ho jate hain.
Bachpan se jawani ka safar toh hai pyaara
Lekin kahan yeh sada rehta hamara
Khud ko samajh nahi aati hai
Zindagi kis raftar se guzar jaati hai.
Dil toh shayad abh bhi jawan hai hota
Jism vaisa abh saath nahin deta
Dekh kur bachpan ki tasveerein
Hairan se ho jaate hain
Phir purani yaadon mein
Achanak se kho jaate hai.
Hulki si muskaan honthon pe aa jati hai
Kaise the hum kaise bun jaate hai
Na jaane kub hum bade ho jaate hain.
Chehre pur jub hulki hulki
Jhuriyan aa jaati hain
Samay ke badalte mausam
Chaap apni chod jaate hain
Na jaane kub hum bade ho jaate hain.
Baalon ki kaali siyahi
Ab chaandi si bun jaati hai
Kanon se ab sunte kum hai
Nainon se kum dikhta hai.
Yeh khut tow aate hai khuda se
Pur palle kuch nahi padta hai
Waqt ka paiyya chalta raha
Hum massaiylon mein ghir jaate rahe.
Phursut bhi na mili
Khayal bhi na aaya
Zindagi ke is safar mein
Humne kya khoya kya paaya.
Phir kisi ek mod pe
Na jaane apne kub bichad jaate hai
Khuda umar tarash kare unhein
Jis din mata-pita apne
Yeh duniya chod jaate hain
Oos din, oos samay, oos pul
Hum vakai bade ho jaate hain.