Hindustan Ki Beti
Moam ki nahin hoon ke pighla doge mujhko
Kagaz ki nahin bani ki gula dogé mujh ko
Shér ki duhaad se na dura paoge mujhko
Phool si nazuk hi sahi – na kuchal paoge mujhko.
Aandhiyon sé beh jaati nahin hoon
Zalzale se dur jaati nahin hoon
Hindustan ki beti hoon, na samajhna mazloon mujhko
Oos per bharosa hai, khud sambhalega woh mujh ko.
Sikhi ne sikhaya nahi kamzor bunna mujhko
Khud ko mehfooz, auron ki hifazat kurna mujhko
Dil pe teer chalanewalo, katé hi na gira paoge mujhko
Per yuhin mur jaate yaaro gur ek nazar
Pyaar se dekha hota mujhko.