Dost
Akele jub kabhi neend nahi aati
Doston ki badi hi yaad hai satati
Kaun jaane base hain kahan kub se
Unhone bhi rabta na kiya humse.
Bikhar gaye sub dost purane
Milte hai ab log anjaane
Kuch dost humare rooth gaye
Duniya ki bheed mein kuch kho gaye.
Kuch duniya chod kar hi chale gaye
Hum apne masailon me ghire rahe
Kahan gaye bachpan ke dost pyaare
Hote the jinpe vaare nyaare.
Masoom dosti bahut hi pyaari
Yahi thi apni duniya sari
Kahan hai Sushi, Sarla aur Sujata
Hamesha nibhate jo apna vaada.
Andhi aaye toofan aaye
Apne saath sada unhein payein
Ab zindagi shayad badal gayi hai
Nayi rahon mein chal padi hai.
Yaadein hi ab reh gayi purani
Inhi ke sahare cut rahi zindgani
Doston se dosti hamesha nibhana
Yehi hai apna asli khazana.
Kabhi na akelapun hoga inke saath
Khoon ke rishton se badhkur hai, in rishton ka ehsaas
Sache dost hai nehmat jo khuda se hum paatein
Gum jaaye kahin yeh to phir guzre zamane nahin aate.
Doston ko rakhna mehfooz ae dost zaroor
Dosti hai Heera aur Dost Kohinoor.