Dil Ki Dhadkan
Yeh dil kaise dhadakta hai
Na thamta hai na rukta hai
Har pal dhadakte jaata hai
Na jaane kya kehna chahta hai.
Yeh tootta hai par rukta nahi
Rota hai par thamta nahi
Bade kehte kabhi “dil bada karo”
Wo to lekin baccha hain - uski bhi to kabhi suno.
“Dil ki suno”, “dil se karo”
Yahi sayane kehte hain
Dil to kehta sab kuch
Bas kami sunne mein reh jaati hain.
Dil ye keemti tohfa khuda ka
Mehfooz rakhna farz hamara
Paalan poshan aur saaf swasth rakhna
Yeh bhi hai kartavya hamara.
Aandhi aaye toofan aaye
Is dil pe kabhi aanch na aaye.
Dil jab kisi pe aa jaata hai
Na jaane kya ho jaata hai
Dhadkane tez ho jaati hai
Bechara “overtime” kar jaata hai.
Yeh ruk jaaye to qayamat ho jaaye
Saanso ka silsila ekdam tham jaaye
Barson yuhin ye chalta hai
Isi dhadkan ka naam hi to zindagi hai.
Yeh dil kaise dhadakta hain
Na thamta hai na rukta hain
Na jaane kya kehna chahta hai.