Lehren
Hansti-khelti lehren jub sahil se tukrati hain
Dil ko khushi aur rooh ko thundak si pahunchati hai
Moti jaise mukh pe unke umeed bhari muskan hai
Sahil ki mitti bhi samjhein Guru ka vardaan hai.
Na kisi se gila, na shikva karti hain
Laotkur vishal sagar mein sama jaati hain
Aur phir naye josh nayi umeed se
Saagar se uth aati hai.
Samjho toh yeh bahut kuch samjha jaati hain
“Na kabhi hona niraash, na harna himmat”
Yeh sabuk insaan ko sikha jaati hain.