Hulara

Bubbles Kandhari-Hulara

Hulara by Bubbles Kandhari

Is keher ka itna khauf kyun hai ?

Jub janam se mukarur maut ka samay hai

Saansen bakshi khuda ne jitni

Na ek kum na do zyada milengi.

Yeh keher toh ek bahana hai

Aaya jub samay tub hi toh jaana hai

Mangein khuda se tandrust zindagi

Karo unki ji bhurke bandagi.

Yeh hulara hai khuda ka bande ko

Samjho maula ka ishara ab tow

Bhool chuke ho jo pyaar mohabbat ko

Oos jazbe ko tum phir jagao.

Baantow pyaar ik dooje mein

Bade chhote ka bhed mitao

Ek hi rubb ke bande hai hum

Isme bhed bhao mat lao.

Majboor-mazloom ki dhaal bano

Punyah-daan mein na kifayat karo

Ityad barutna toh hai farz hamara

Keher na phele yeh bhi kartavya hamara.

Na waqt se pehle, na samay ke baad

Jata hur koi apne samay ke sath

Phir is keher se itna khauf kyon hai

Jub janam se mukurur maut ka samay hai.

Previous
Previous

Lehren

Next
Next

Dil Ki Baatein