Dil Ki Baatein
Dil se jab dil milte hai
Kahe bina vo sab sunte hai.
Dil ki dhadkan se vo jaane
Saanson ki raftaar pehchaane.
Lavazon ka koi mol nahin
Bas nazron se ho baat vahi.
Mil jaaye gar yun jeevan saathi
Jannat mein ta umr beettee.
Aisa dilbar aisa jaani
Hanste hansate de qurbani.
Pyaar mohabbat ki tasveer
Khuda ke hukam ki karen taameer.
Apaar daya aur pyaar ka saagar
Aisa hai mera hamsafar.
Bachpan chhoota jawani beeti
Phir bhi mohabbat padi na feeki.
Waqt ki dhoop-chaon mein
Zindagi ki pehchaan mili.
Us daur se is daur mein
Kub pahunch gaye ye khabar hi nahi.
Kuch sangee saathi chut gaye
Kuch yunhi hum se rooth gaye.
Gam ke sailaab bhi kam na the
Par hausle phir bhi buland rahe.
Khushiyan bhi hamen beintehaa mili
Khuda ki rehmat, doston ki mohabbat
Aur apnon ki dariyadili.
Rishton ki seedhee chadhte chadhte
Maa-baap ke aude se badhkar hum Dada-Dadi ban gaye.
Jis rubb ne milaee apni jodi
Kare jitnee sifat uski hai thodi.
Us maula ka karen sajda baar-baar hum
Rahe bus tera karam, tera karam.