Zindagi Ki Raftar
Na jaane zindagi kis raftar se guzar jati hai
Jaise hathelion se burf phisal jati hai
Bachpun beeta beeti jawani
Na jaane ka vayda kurke, aa gayi budape ki pareshani.
Dardon ka pitara khole
Chalte hum haule haule
Wo lachak wo phurti kahan pyaare
Kardi sabh jawani ke hawale.
Nainon ki jyoti dhundli pad gayi
Sunne ki kuwat bhi na rahi
Danton ke moti larazné lagé hai
Gesuao ke rang safed ho gaye hai.
Yadasht ki tow baat hi aur hai
Pul do pul ki saathi hai
Khuda ki janib se aati hai yeh paanch nishanian
Na pehchane inhe to badh jayegi pareshanian.
Hum mazi ki pur yaadein lekar
Dada Dadi, Nana, Nani bankur
Bachon ko kisse sunate
Unke subh nakhre uthate.
Aise hi the kabhi apne zamane
Kahan gaye wo din purane
Maula ki hidayeton ko samjho
Ae insaan ab to ibaddat kur lo.
Na aayegi koi aanch bus yeh samajh lo
Sukhon ki mani se jholi bhur lo
Phir chalte chalte zindagi ki shyam dhul jati hai
Ab bachpun aur jawani ki bahut yaad aati hai.
Bus yehi hum sub ki kahani hai
Na rehta bachpun na rehti jawani hai
Na jane zindagi kiss raftar se guzar jati hai
Jaise hathelion se burf phisal jati hai.