Bharam
Saagar kinaare baithkar yeh sochtee hoon main...
Zindagi kya ek bharam hai aashaon ka ummeedon ka
Ya phir haqeeqat hai kadvee sachchaeeyon ka
Atyachaaron ka farebon ka.
Saagar ki geharaeeyon mein kahi raaz chhupe hain
Leheron ke mukh pe jaise moti se lipte hain
Har seep mein chhipe hain na jaane kitne hi khazane
Simate hue hain inmein hazaaron afsaane.
Chaand ki chaandni mein nahatee hui lehren
Taaron ki tim timaahat mein machalti hui lehren
Jaise ki khud ko nihaar rahi hai woh
Baahen pasaare sab ko bula rahi hain woh.
Apni dhun mein magan uchhaltee - koodtee lehren
Duniya se bekhabar yunhi jhoomtee hui lehren
Kuch pal saahil pe thum jayengi yeh lehren
Hanste hue phir saagar mein sama jayengi lehren
Door... bahut door kahi to milan hai
Saagar se gagan ka
Is farsh se us arsh ka
Dharti se paataal ka
Kya yeh nazron ko dhokha hai, ya hamari khushfaimee hai
Ki jise ham samajhte haqeeqat hai woh hamara bharam hai
Parmeshvar se milan ka prayaas yahi hamara karam hai
Us atoot shakti mein samana bas yahi hamara dharam hai
Saagar kinaare baithkar yahi sochtee hun main.