Chalte Chalo - Badhte Chalo
Chaand-sitaaron se aage bhi hai ek duniya
Tere-mere khwaabon se aage bhi hai ek duniya.
Us jannat mein apna aashiyaan bana lo -
Chalte chalo badhte chalo.
Zindagi chalne ka naam hai pyaare
Rukne thamne ka kaam nahin
Gardish mein kabhi hona nahin
Astitva apna bhi khona nahin
Hausle ki tum dhaal bano
Chalte chalo badhte chalo.
Anjaana safar hai anjaanee dagar hai
Jaana kahaan hai kise yeh khabar hai
Kadam dagmagate kuch ghabarate kuch aitrate
Chalte jaana hai hanste-hansaate
Bas nirmal aur nidar bano
Chalte chalo badhte chalo.
Zindagi ka maeena dhoondhane nikale hai
Khud ko aaine mein dekhne nikale hain
Nakaab uthao hakeekat saamne hai
Khud ko pehchano - zindagi saamne hai
Is sachaee se tum na katarao
Chalte chalo badhte chalo
Kuchh pal kee dooree pe hai manzil
Chalte vahaan jaana hai
Manzile - maksood saamne hai
Badhte vahaan jaana hai
Ek sur mein bas kahte chalo
Chalte chalo badhte chalo.
Hum k ya hain, hum kaun hain
Karmon pe apne nirbhar hai
In karmon ke lekhe-jokhe se
Shak seeyat banee hamaaree hai
Nek karmon se apna agla savaaro
Chalte chalo badhte chalo.
Jharna bhee bahta rahta hai kaliyaan phoolon mein khiltee hain
Mausam badalte rahte hain baad khiza ke bahaar aatee hai
Har din-raat mein dhalta hai - har raat kee subah hotee hai.
Kudrat bhee hamen samajhaatee hai -
Maula ke eeshaaron ko samajho
Chalte chalo badhte chalo.
Yoonhee chalte chalte kaheen kisee mod pe
Mil jaayega ik zariya jo hamen khuda se jod de
Us mod kee talaash mein raho
Chalte chalo badhte chalo.
Har kisee ke karmo pe nirabhar hai vo zariya
Bhavsaagar se manzil tak pahunchaane ka zariya -
Is zariye ko pehchaan lo -
Chalte chalo badhte chalo.
Chaand sitaaron se aage bhee hai ek duniya
Tere mere khwaabon se aage bhee hai ek duniya
Kub pahunche ham us duniya mein
Aur jazb ho jaayenge uski kaayanaat mein
Jab tak ki na ho yeh mumkin
Bas kahte raho
Chalte chalo badhte chalo.