Shikhar Ki Sewa

Bubbles Kandhari-Shikhar Ki Sewa

Shikhar Ki Sewa by Bubbles Kandhari

Maine poocha in pahadiyon se

Ki bane ho tum kis mitti ke

Sadiyon se tum yuhi khade ho

Thakte nahi kya raksha karte?

Sewa ka yeh bhao nirala

Bas apna kartavya hai aala

Na kuch sunna na kuch kehna

Har pal uski raza me rehna.

Chattan hai hum rahenge datkar

Is dharti ki shaan bankur

Aandhi aaye toofan aaye

Jhukenge nahi hum inse darkur.

Khush kismat hai hum

Acche honge hamare karam

Ki khuda ne hume himmat di

Ki sewa kare hum is duniya ki.

Rishi munni hamare shikhar par aaye

Tapasya ki, aur shank bajaye

Dhanya ho gayee hamari mitti

Aur tirath ban gayee hamari hasti

Hume mila ek uttam sthan

Aur yeh ban gayi hamari pehchaan.

Previous
Previous

Ek Boond Ka Safar

Next
Next

Swarg