Ek Boond Ka Safar
Asman se tooti
Badlon se phooti
Ik nanhi si boond
Humein kya samjhati hai??
Chahe choti si ho zindagi
Wahi uttam kehlati hai
Jo apna astitva kho kur bhi
Doosron ke kaam aati hai.
Jub baarish ki nanhi boondein
Tip tip karke aati hain
Jub pehli baochar mausam ki
Kheton ki pyas bujhati hai.
Kisanon ki umeed pur
Yeh khari utarti jaati hai
Naye mausam ke aagman mein
Khushi ki ek leher daud jaati hai.
Khushiyan deti ek nanhi boond
Dharti mein sama jati hai
Na koi gila na koi shikwa
Bus apna kartavya nibha jaati hai
Jaate jaate phir bhi us mitti mein
Apni khushboo chod jaati hai.