Sarmaaya
Khud ko bhoolake tujhme
Humne khud ko paaya ha
Kya ye baat ab sach nahin
Ki hum mein hi tu samaaya ha?
Mehsoos karein to kan kan mein basa
Na dekh paayein to apni hi koi khata.
Oonche lambe ped pahadon se guftagoo karte
Dharti par phool khil khilake haanste
Parinde meethi aawaz mein gungunate
Gore gore baadal bhi pahadon se lipat jaate
Aisa manjar dekhkar koi kyun na khush hojaaye
Aise manjar to shaayad dharti par swarg kehlaaye.
Baadlon mein lipti hui barfeeli pahadiyaan
Sar-sar karte pyaare jharne
Phoolon ki muskuraahat
Parindon ki chehchahat
In sab mein bhi tu hi ha nazar aata
Tera hi roop har taraf hai jhalakta.
Phir in sab ka to yahi ha saaransh
Har jan mein bhi tu hi ha samaaya bhagwaan
Phir kaaheki irsha, kyun khayal vipreet
Jab ek hi hamara mai-baap, ek hi hamara meet.
Aao mil-baith ke saare, gaayein pyaar ke geet
Yahi ha sarmaaya hamara, isi mein hamari jeet.