Khushi
Khushi dhoondne nikle thé hum
Jhowlee mein aaye kayi aansu kuch gum
Khushi dhoondte zindagi bitaayi
Phir bhi khushi haath na aayi.
Khushi kyon humnein na payi?
Kyon hamein khushi raas na aayi?
Phir ek din masoom si awaz yoon aayi
“Kya khushi se mulaqat ho payi??”
Haste haste woh yeh keh gayi
Aur main tub tak samajh na payi
Shiddat se jise dhoondte ho, wohi khushi hoon main
Tumhare har saans mein basi hoon main.
Bahar kahan talashte ho bhai
Mai toh tumhare andar hoon samayi
Apne andar jhank ke dekho
Rub ne beinteha khushiyan basaayi.
Khushi ki talash mein kaynat chaan mari
Nazrein jhukayin seene mein
Dil ke andar usé payi.
Bekhabar is ehsas se thé hum
Khushiyon ke hur pul pass thé hum
Ab umar sari jub beet gayi
Tub humne yeh seekh hai payi.