Waqt
Waqt kisi ka jigri dost nahin kabhi
Kul apna tha aaj kisi aur ka hai wahi
Daudta hai sabse aagé yahi
Pakad mein kabhi kisike aata hi nahin.
Waqt hai bada balwan
Na maat de sakta issé koi
Peeche reh jaate hai is daud mein hum
Apni uljhanain suljhate hur dum.
Waqt ke bhi ajeeb rang hai
Kisi ka waqt beetta hi nahin
Kisi ke paas hota hi nahin.
Waqt dikhayi deta nahin
Pur bahut kuch dikha deta hai
Doston aur dushmanon ki pehchaan kara deta hai.
Apnapun to hur koi dikhata hai hur pul
Pur apna kaun hai yeh waqt dikhata hai waqt per
Waqt ka parinda pankh phailaye
Bharta hai udaan khule aasman mein
Qaid kur sukte nahin hum ise
Duniya ke sone pinjre mein.
Aao samay ke dariya kinaree
Dekhén use yun behte hué
Maazi ki hum yaadein sameté
Mustakbil ke khwab sajaté hué.