Insaan Ye Samajhta Kyun Nahin Hai
Kisi ke saath hamesha koi rehta nahin hai
Phir bhi kyun insaan tu yeh samajhta nahin hai
Ladhte-jhagadte marte dam tak hai log
Marne ke baad kya hoga kyun samajhte nahin hai log.
Rehta kuch nahin, sab chod yaha jaana hai
Khaali haath aaye hai, waise hi humein jaana hai
Yeh maajira kyun phir bhi samajhte nahin hai log.
Insaan chala jaata hai reh jaate hai kuch phool
Woh bhi samandar ki lehren le jati baha kar door
Bujh jati hai sab aawajein, bas yaadein hi reh jati hain.
Tasweerein basi jo aankhon mei phir dhundhli hoti jati hain
Samay ka chalta payya yoohin hai
Phir bhi kyun insaan tu yeh samajhta nahin hai.
Haal se maaji tak chaand kshanon ka hai faasla
Ab “hai” phir “thé”- bas yahi hai silsila
In do lafzon mei simti zindagi humari hai
Phir bhi insaan ye samajhta kyun nahin hai.
Tera-mera karke tamam zindagi bita di
Duniya ke tamashe mein apni hasti mita di
Shab-o-roz yeh tamasha hota bas yoohin hai
Phir bhi kyun bande tu samajhta nahin hai.
Aksar jo dekhta hain wo hota nahi
Jo hota hai wo tu dekh sakta nahin
Phir bhi kyun insaan tu yeh samajhta nahin.
Jab koi azeez yeh jahaan chod jaata hai
Us pal jeevan ki haqeeqat samjha jaata hai
Khuda ke sab bande tab khuda ko yaad karte hai
Laute jab kooche mei apne massailon mei ghir jaate hai.
Kabhi to jaago sapnon ki duniya se
Ye Neimut-e-Zindagi bakshi hai khuda ne
Ibaadat ke liye, pyaar barsaane ke liye
Kya tu isse bekhabar to nahin hai
Phir kyun tu yeh samajhta hi nahin hai?
Maut se kisko rustgaari hai
Aaj unki, kal humari baari hai
Kamar baandhe baithi hoon, milan ki khumari hai
Bahut aage gaye, aaye meri bhi ab baari hai.
Bula lo mujhe apni raahon mein
Udda lo mujhe un hawaon mein
Jahan sukh-shanti ka ho niwaas
Phir prem ka amrit tum barsao
Bujh jaaye is jeevan ki pyaas.
Hona hai kab maalik yeh karam
Ta-umra lagaaye jis ki aas
Phir hona hai jo hona hai
Wo hone se rukta nahin
Uske bina is duniya mein
Patta bhi kabhi hilta nahin.
Phir bhi kyun insaan tu ab tak
Is raaz-e-zindagi ko samajhta hi nahin.
(Dedicated to my dear Maasi)