Awaara Baadal
Chaand se yun lipte baadal
Koi to purana rishta hai
Kuch halki-phulki baatein karke
Mann mouji chale kahan? - kise pata hai.
Apni masti me garajte baraste
Ya phir shant swaroop se badhte
Kis aur chale jaate hain
Yeh marzi hai unki;
Kahan kho jaate hain
Yeh kismat hai unki.
Awaara baadal hain hum
Manzil gumshuda hai
Chalo chalein us raah par
Jahan khuda khada hai.
Baahein pasaare humein woh bula raha hai
Ek kadam chalein hum sau woh badha raha hai
Uske aagosh mein jaakar hum fana ho jaaye
Noor ki hum nanhi kiran-vishal jyot mein sama jaaye.
Aao chalo iska prayas karein hum
Uske har pharmaan ko muqaddar bana lein hum
Uspe yun bharosa ki khud maghloob ho jaaye hum
Aur jeevan ko yun ek nayee disha de hum
Allah ka ho karam || Moula ka ho karam||